jaago jaago abhi jaage na to kab jaagoge
god jab maa ki ujad jaayegi tab jaagoge
aye mere laadalon utho (2)
himmat se kaam lo (2)
aye mere laadalon
maata ka haath aaj musibat mein thaam lo
aye mere laadalon
zakhmon se jism choor hai chehra nidhaal hai
tum bekhabar ho maa ka tumhari yeh haal hai
kya mooh dikhaaoge mujhe gairat se kaam lo
aye mere laadalon
jiss maa ke itne laal ho jhele woh kyon sitam
mujh par padaa hai waqt karo door mere gham
berahem dushmanon se mera intakaam lo
aye mere laadalon
bakshoongi main na budh jo ki tumne bujh-dili
meri duvaayen saath hai darna nahin kabhi
aakhir tumhari jeet hai maalik ka naam lo
aye mere laadalon
talvaar kheencho aage bhadho seena taan kar
baazi lagaa do jaan ki bharat ki aan par
sir se kafan lapet lo maa ka salaam lo
aye mere laadalon
jab tak bhadakti aag ke sholey bujhaa na do
jab tak vatan se gham ke andhere mita na do
aaraam hai haraam yeh mera payaam lo
aye mere laadalon utho
himmat se kaam lo (2)
aye mere laadalon
maata ka haath aaj musibat mein thaam lo
aye mere laadalon
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 17, 2003
|