Database
Search
Track Movie

Abhi Na Jaavo Chod Kar
Film Name:Hum Dono (1961)
Year:1961
Singer(s)Mohd Rafi Asha Bhonsle   
Lyricist:Sahir Ludhianvi 
Musician(s):Jaidev
Lyrics
Save Abhi Na Jaavo Chod KarPrint Abhi Na Jaavo Chod KarAbhi na jaayo chhodh kar
ke dil abhi bhara nahi

abhi abhi to aayi ho
abhi abhi to
abhi abhi to aayi ho
bahaar ban ke chaayi ho
Hawa zara mahek to le
nazar zara bahek to le
Yeh shaam dhal to le zara
yeh shaam dhal to le zara
yeh dil sambhal to le zara
main thodi der jee to loon
nashe ke ghoont pi to loon
nashe ke ghoont pi to loon
abhi to kuch kaha nahi
abhi to kuch suna nahi
abhi na jaayo chhodh kar
ke dil abhi bhara nahi

Sitaare jhilmila uthe
Sitaare jhilmila uthe
chirag jagmaga uthe
bas ab na mujhko tokna
bas ab na mujhko tokna
na badhke raah rokna
Agar main ruk gayi abhi
to jaa naa paoungi kabhi
yahi kahoge tum sada
ke dil abhi nahi bhara
jo khatam ho kisi jageh
yeh aisa silsila nahi

abhi nahi abhi nahi
nahi nahi nahi nahi

abhi na jaayo chhodh kar
ke dil abhi bhara nahi

Adhuri aas
Adhuri aas chhodh ke
adhuri pyaas chhodh ke
jo roz yuhi jaayogi
to kis tarah nibhaayogi
ke zindagi ki raaha mein
jawaan dilon ki chaha mein
kayi makaam aayenge
jo humko aazmaayenge
bura na maano baat ka
yeh pyar hai gila nahi

haan yehi kahoge tum sada
ke dil abhi bhara nahi

Haan dil abhi bhara nahi
Nahi nahi nahi nahi

-- Contributed by Sharad Sharma
-- Sept 06, 2003

Two stanzas that were included in the movie as a separate track not as a part of song.

dukh aur sukh ke raaste
bane hai sabke vaaste
jo gham se haar jaaoge
to kis tarah nibhaaoge
khusi mile hume ke gham
jo hoga baant lenge hum
mujhe tum aazmaao to
zaraa nazar milaao to
yeh jism do sahi magar
dilo mein faasla nahin
jahaan mein aisa kaun hai
ke jisko gham mila nahin
abhi na jaao chhodkar
ke dil abhi bhara nahi

tumhaare pyaar ki kasam
tumhaara gham hai mera gham
na yoon bujhe bujhe raho
jo dil ki baat hai kaho
jo mujhse bhi chhupaaoge
to phir kisse bataaoge
main koi gair to nahin
dilaaun kiss tarah yakin
ki tum se main judaa nahin
mujhse tum judaa nahin
tum se main judaa nahin
mujhse tum judaa nahin
abhi na jaao chhodkar
ke dil abhi bhara nahin

-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 08, 2003
Remarks - extra Information
To add extra information, you will need to login first.
Search
Track Movie




Copyright © 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap