Database
Search
Track Movie

Armaan Machal Rahen Hein
Film Name:Non-Filmi Ghazals
Year: 
Singer(s)Mohd Rafi    
Lyricist:Hakeem Yusuf Jhun Jhunvi 
Musician(s):Jamal Sen
Lyrics
Save Armaan Machal Rahen HeinPrint Armaan Machal Rahen HeinKabhi Raat Din Hum Door The, Din Raat Ka Ab Saath Hai
Kabhi Raat Din Hum Door The, Din Raat Ka Ab Saath Hai
Woh Bhi Ittefaq Ki Baat Thi, Yeh Bhi Ittefaq Ki Baat Hai
Woh Bhi Ittefaq Ki Baat Thi, Yeh Bhi Ittefaq Ki Baat Hai
Kabhi Raat Din Hum Door The

Teri Aankh Mein Hai Khumaar Sa, Meri Chaal Mein Hai Suroor Sa
Teri Aankh Mein Hai Khumaar Sa, Meri Chaal Mein Hai Suroor Sa
Yeh Bahaar Kuch Hai Peeye Huey, Yeh Sama Nashe Mein Hai Choor Sa
Yeh Sama Nashe Mein Hai Choor Sa
Kabhi In Fizaaon Mein Pyaas Thi, Ab Mausam-E-Barsaat Hai
Woh Bhi Ittefaq Ki Baat Thi, Yeh Bhi Ittefaq Ki Baat Hai
Kabhi Raat Din Hum Door The

Mujhe Tumne Kaise Badal Diya, Hairaan Hoon Main Is Baat Par
Mujhe Tumne Kaise Badal Diya, Hairaan Hoon Main Is Baat Par
Mera Dil Dhadakta Hai Aaj Kal, Teri Shokh Nazron Se Poochkar
Teri Shokh Nazron Se Poochkar
Meri Jaan Kabhi Mere Bas Mein Thi, Ab Zindagi Tere Haath Hai
Woh Bhi Ittefaq Ki Baat Thi, Yeh Bhi Ittefaq Ki Baat Hai
Kabhi Raat Din Hum Door The

Yoon Hi Aaj Tak Rahe Hum Judaa, Tumhe Kya Mila, Humein Kya Mila
Yoon Hi Aaj Tak Rahe Hum Judaa, Tumhe Kya Mila, Humein Kya Mila
Kabhi Tum Khafa, Kabhi Hum Khafa, Kabhi Yeh Gila, Kabhi Woh Gila
Kabhi Yeh Gila, Kabhi Woh Gila
Kitne Bure The Woh Din Sanam, Kitni Haseen Yeh Raat Hai
Woh Bhi Ittefaq Ki Baat Thi, Yeh Bhi Ittefaq Ki Baat Hai
Kabhi Raat Din Hum Door The, Din Raat Ka Ab Saath Hai
Kabhi Raat Din Hum Door The

-- Contributed by Asim Zubair
Remarks - extra Information
Extra Information not available! Would you like to add it?
Search
Track Movie




Copyright © 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap