Lata: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
Rafi: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam (2)
aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
Lata: ho ho ho bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
Rafi: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
Lata: aag yeh kaisi man mein lagi hai
man se badhi to tan mein lagi hai
Rafi: aag nahin yeh dil ki lagi hai
jitni bujhaayi utni jali hai
Lata: dil ki lagi na ho to kya zindagi hai
saath hum jo chale mit gaye faasle
Rafi: aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
Both: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
Rafi: khoyi nazar thi soye nazaare
dekha tumhe to jaage yeh saare
Lata: dil ne kiye jo dil ko ishaare
milke chale hum saath tumhaare
Rafi: aaj khushi se mera dil yeh pukaare
tera daaman mila pyaar mera khila
Lata: aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
Both: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
Lata: dil ki kahaani pohchi subaan tak
kissko khabar ab pohche kahaan tak
Rafi: pyaar ke raahi aaye yahaan tak
jaayenge dil ki hadh hai jahaan tak
Lata: tum saath do to chale hum aasmaan tak
dil mein armaan liye laakh toofaan liye
Both: aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam (3)
-- Contributed by Chitralekha
-- Feb 26, 2004 |