(deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna) (2)
gussa chhodo baat to maano
iss bande ko apna jaano
door se dhokha haan, ho sakta tha haan
door se dhokha ho sakta tha
paas ho ab to ab pehchaano
deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna
hat gaya aakhir bharam ka saaya
ab samjha main ab yaad aaya
khwaab mein tum ko aksar dekha (2)
aaj mujjasim saamne mein paya
deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, aji chaahe phir na milna
yeh paris ki shaam suhaani
yaar ki nagri roop ki raani
banke rahega haan koyi afsana haan
banke rahega koyi afsana
khil ke rahegi koyi kahaani
deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, aji chaahe phir na milna
deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna
aaa aaa aaa aaa aaa aaa
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 08, 2003
|