dil le gayi le gayi le gayi, ek chulbuli chulbuli naazneen (2)
mukhda aisa hai uss jhaaleem ka, husn bhara hai saare aalam ka (2)
dil le gayi le gayi le gayi, ek chulbuli chulbuli naazneen
mukhda aisa hai uss jhaaleem ka, husn bhara hai saare aalam ka (2)
(uss ke kaajal bina nain kaale, aur kaajal lagaa le to kya ho
uss ke haathon mein sukhi chaman ki, aur mehendi lagaa le to kya ho) (2)
dil le gayi le gayi le gayi, ek chulbuli chulbuli naazneen (2)
mukhda aisa hai uss jhaaleem ka, husn bhara hai saare aalam ka (2)
(itna gussa kare woh haseena, aur nakhre hai uss ki jawaani
rang aata hai gore badan par, jaise chaandi pe sone ka paani) (2)
dil le gayi le gayi le gayi, ek chulbuli chulbuli naazneen (2)
mukhda aisa hai uss jhaaleem ka, husn bhara hai saare aalam ka (2)
(kitni naazook hai woh chhuui-muui, apne aanchal se woh dab rahi hai
ek champa ki madhosh daali, apne phoolon se khud jhuk rahi hai) (2)
dil le gayi le gayi le gayi, ek chulbuli chulbuli naazneen (2)
mukhda aisa hai uss jhaaleem ka, husn bhara hai saare aalam ka (2)
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 08, 2003
|