(din dhal jaaye haaye, raat naa jaay
tu to na aaye teri, yaad sataaye) (2)
din dhal jaaye
pyaar mein jinke sab jag chhoda aur hue badnaam
unnke hi haathon haal hua yeh baithe hai dil ko thaam
apne kabhi the ab hai paraaye
din dhal jaaye haaye, raat naa jaay
tu to na aaye teri, yaad sataaye
din dhal jaaye
aisi hi rimjhim aisi fuhaare aisi hi thi barsaat
khud se juda aur jag se paraaye hum dono the saath
phir se woh saawan ab kyon na aaye
din dhal jaaye haaye, raat naa jaay
tu to na aaye teri, yaad sataaye
din dhal jaaye
dil ke mere tum paas ho itne phir bhi ho kitni door
tum mujhse main dil se pareshaan dono hai majhboor
aise mein kissko kaun manaaye
din dhal jaaye haaye, raat naa jaay
tu to na aaye teri, yaad sataaye
din dhal jaaye
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 07, 2003
|