Suno ek tarana, naya yeh fasana
ke aangan mein mere, sawere sawere
Ek Banjara gaaye
jeevan ke geet sunaaye
hum sab jeene walon ko
jeene ki raah bataaye
Zamaane waalon kitaab-e-gham mein
khushi ka koyi fasaana dhoondho
agar jeena hai, zamaane mein to
haseen ka koyi bahaana dhoondho
ho ho ho ho aankhon mein aansoo bhi aaye
to aa kar muskaaye
Ek Banjara gaaye..
Sabhi ka dekho nahi hota
naseeba roshan sitaaron jaisa
sayana woh hai jo pathjhadh mein bhi
sajaale gulshan bahaaron jaisa
ho o o o kaagaz ke phoolon ko bhi
mehka kar dikhlaaye
Ek Banjaara Gaaye..
-- Contributed by Sharad Sharma
-- Sept 16, 2003
|