Hai bas ke har ek unke
Ishaare mein nishaan aur
Karte hain mohabbat
to guzarta hain gumaan aur
[gumaan = doubt]
Ya rab na woh samjhe
hain na samjhenge meri baat
De aur dil unko
jo na de mujhko zabaan aur
Tum shahar mein ho to
hamein kya gham jab uthe ge
le aayenge bazaar se
ja kar dil-o-jaan aur
Hai aur bhi duniya mein
sukhanvar bahut acche
[Sukhanvar is a poet as per site - Sami’s Urdu-Hindi page]
Kehte hain ke ghalib ka hai
andaaz-e-bayaan aur
-- Contributed by Sharad
-- August 25, 2003 |