Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai (2)
Maro To Aise Ke Jaise Tumhara Kuch Bhi Nahin
Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai
Jiyo To Aise Jiyo
Yeh Ek Raaz Ke Duniya Na Jiss Ko Jaan Saki
Yehi Woh Raaz Hai Jo Zindagi Ka Haansil Hai
Tumhi Kaho Tumhe Yeh Baat Kaise Samjhaavu
Ke Zindagi Ki Ghutan Zindagi Ki Qaatil Hai (2)
Har Ek Nigaah Ko Kudrat Ka Yeh Ishaara Hai
Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai
Jiyo To Aise Jiyo
Jahaan Mein Aa Ke Jahan Se Kheeche-Kheeche Na Raho
Woh Zindagi Hi Nahin Jiss Mein Aas Bujh Jaaye
Koi Bhi Pyaas Dabaaye Se Dab Nahin Sakti
Issi Se Chain Milega Ke Pyaas Bujh Jaaye (2)
Yeh Keh Ke Mudta Hua Zindagi Ka Dhaara Hai
Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai
Jiyo To Aise Jiyo
Yeh Aasmaan Yeh Zameen Yeh Fiza Yeh Nazaare (2)
Taras Rahe Hai Tumhaari Meri Nazar Ke Liye
Nazar Chura Ke Har Ek Shay Ko Yoon Na Thukraao
Koi Shariq-E-Safar Dhoondh Lo Safar Ke Liye (2)
Bahot Kareeb Se Maine Tumhe Pukara Hai (2)
Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai
Maro To Aise Ke Jaise Tumhara Kuch Bhi Nahin
Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai
Jiyo To Aise Jiyo
-- Contributed by Chitralekha
-- Dec 16, 2004 |