jiss raat ke khwaab aaye woh khwaabon ki raat aayi (2)
sharmaa ke jhuki nazaren hothon pe woh baat aayi
jiss raat ke khwaab aaye woh khwaabon ki raat aayi
paighaam bahaaron ka aakhir mere naam aaya
phoolon ne duvaayen dee taaron ka salaam aaya
taaron ka salaam aaya
aap aaye to mehfil mein (2)
naghmon ki baraat aayi
jiss raat ke khwaab aaye woh khwaabon ki raat aayi
yeh mehki hui zulfen yeh behki hui saanse
neendo ko chura lengi yeh neend bhari aankhen
yeh neend bhari aankhen
taqdeer meri jaagi (2)
jannat mere haath aayi
jiss raat ke khwaab aaye woh khwaabon ki raat aayi
chehre pe tabassum ne ek noor sa chhalkaya
kya kaam chiraago ka jab chaand nikal aaya
jab chaand nikal aaya
lo aaj dulhan ban ke (2)
pehlu mein hayaat aayi
jiss raat ke khwaab aaye woh khwaabon ki raat aayi
sharmaa ke jhuki nazaren hothon pe woh baat aayi
jiss raat ke khwaab aaye woh khwaabon ki raat aayi
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 17, 2003
|