MR: kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
MK: o dene waale toone to koi kamee na kee
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
MR: chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi (2)
aate hai zindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
har gham ko bhool jaao khushi ki baaraat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
MK: aayi hai woh bahaar ke naghme ubal pade
aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
hothon pe hai duwaayeh magar dil pe haath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
MR: masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi (2)
MK: meri khushi bhi aap ke daaman mein aa gayi
bhavra kali se door nahin saath saath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
MR: kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 08, 2003
|