khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga (2)
mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhi aasmaan se
mussbir khud pareshaan hai ke yeh tasveer kiski hai
banogi jisski tum aisi haseen taqdeer kiski hai
kabhi woh jal raha hoga kabhi khush ho raha hoga
khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhi aasmaan se
zamaane-bhar ki masti ko nigaahon mein sameta hai
kali se jism ko kitni bahaaron mein lapeta hai
hua tumsa koi pehle na koi doosra hoga
khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhi aasmaan se
farishte bhi yahaan raaton ko aa kar ghumte honge
jahaan rakhti ho tum paanv jageh woh chumte honge
kiske dil pe kya guzri yeh wohi jaanta hoga
khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhi aasmaan se
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 05, 2003
|