Rafi: maasoom chehra yeh qaatil adaayen
ke bemaut maare gaye hum bechaare
Lata: saagar se gehri tumhaari nigaahen
dubo de na hum ko yeh laa kar kanaare
saagar se gehri
Rafi: (hua saamna kya ke sau teer khaaye
ajab teer the woh nazar bhi na aaye) (2)
kya hum pe guzri tumhe kya bataaye
ke bemaut maare gaye hum bechaare
Lata: saagar se gehri tumhaari nigaahen
dubo de na hum ko yeh laa kar kanaare
saagar se gehri
(mohabbat ki unchaayi par aa chuke hum
ke ab raah ki dhool hai dono aalam) (2)
magar keh rahi hai yeh dil ki sadaayen
dubo de na hum ko yeh laa kar kanaare
Rafi: maasoom chehra yeh qaatil adaayen
ke bemaut maare gaye hum bechaare
maasoom chehra
(diya zakhm tumne badaa khubsoorat
liya daag humne badaa khubsoorat) (2)
salaamat rahe aap ki yeh jafaaen
ke bemaut maare gaye hum bechaare
Lata: saagar se gehri tumhaari nigaahen
dubo de na hum ko yeh laa kar kanaare
Rafi: maasoom chehraa
-- Contributed by Chitralekha
-- Dec 16, 2004 |