Database
Search
Track Movie

Mein Pyaar Kaa Rahi Hoon
Film Name:Ek Musafir Ek Hasina
Year:1962
Singer(s)Mohd Rafi Asha Bhonsle   
Lyricist:Raja Mehdi Ali Khan 
Musician(s):O.P.Nayyar
Lyrics
Save Mein Pyaar Kaa Rahi HoonPrint Mein Pyaar Kaa Rahi HoonMain pyaar ka raahi hoon
Teri zulf ke saaye mein kuchh der thahar jaaoon

Tum ek musafir ho kab chhod ke chal doge
yeh soch ke ghabaraaoon

Main pyaar ka raahi hoon

Tere bin jee lage na akele
Ho sake to mujhe saath lele
Naazaneen tu nahin ja sakegi
Chhod kar zindagi ke jhamele
Naazaneen.
Naazaneen tu nahin ja sakegi
Chhod kar zindagi ke jhamele
Jab bhi chhaye ghata yaad karana zara
Saat rangon ki hoon main kahaani
Main pyaar ka raahi hoon
Teri zulf ke saaye mein kuchh der thahar jaaoon

Tum ek musafir ho kab chhod ke chal doge
yeh soch ke ghabaraaoon
Main pyaar ka raahi hoon


Pyaar ki bijaliyan muskurayein
Dekhiye aap par gir naa jaayein
Dil kahe dekhta hi rahoon main
saamane baith kar ye adaayein
Haay Dil kahe..
Dil kahe dekhta hi rahoon main
saamane baith kar ye adaayein

Naa main hoon naazaneen na main hoon mahezabeen
Aapki hi nazar ki deewanee
Main pyaar ka raahi hoon
Teri zulf ke saaye mein kuchh der thahar jaaoon

Tum ek musafir ho kab chhod ke chal doge
yeh soch ke ghabaraaoon
Main pyaar ka raahi hoon

Ho oho ho oho ho..

-- Contributed by Raviraj
-- Nov 30, 2004
Remarks - extra Information
To add extra information, you will need to login first.
Search
Track Movie




Copyright © 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap