Rafi
Meri duniya mein tum aayeen
kyaa kyaa apne saath liye
Tan ki chandi man ka sona
Sapanon waali raat liye
Tanha tanha khoya khoya dil mein dil ki baat liye
Kab se yoon hi phirta tha main armanan ki baaraat liye
Rajkumar
Ankhere ka ishara samajho aaj diya dilka jalana hoga
Priya
Tum bade who ho mujhe jaane do
Rajkumar
Jaa sakogi
Priya
Mujhe jaana hogaa, chhodo naa
Rajkumar
Aaj ki raat to dil todo naa
Lata
Dhalka aanchal phaila kaajal ankho mein ye raat liye
Kaise jaaoon sakhiyo men ab teri ye saugaat liye
Rafi
Meri duniya..
Lata
Seene ki ye dhadkan sunle naa koyi
Haye haye ab dekhe naa koyi
Rafi
naa jaao naa jaao
Lata
Hato hato dar lagta hai
Rafi
Suno suno
Lata
Dar lagta hai
Rafi
Dil mein kitni kaliyaan mehki
Kaise kaise phool khile
Nazuk nazuk meethe meethe hothon ki khairaat liye
Meri duniya..
Lata
Chand se kaise aankh milaaoon
Rafi
baahon mein aao tumko bataaoon
Lata
Bas bhi karo
Rafi
ab naa daro raat hai ye apni
Lata
Payal chhanake kanganaa khanake badali jaaye chaandani
Manzil manzil chalna hoga haathon mein ye haath liye
Rafi
Meri duniya mein tum aayeen
-- Contributed by raviraj
-- April 14, 2004 |