Mujhe gale se laga lo
Bahut udaas hoon main
Gham-e-jahaan se utha lo
Bahut udaas hoon main
Mujhe gale se laga lo
Nazar mein teer se chubhte hain ab nazaaron se
Main thak gayi hoon sabhi toot te sahaaron se
Ab aur bhoj na daalo, bahut udaas hoon main
Mujhe gale se laga lo
Bahut sahi gham-e-duniya magar udaas na ho
Kareeb hai shab-e-gham ke sahar udaas na ho
Bahut sahi gham-e-duniya
Sitam ke haath ki talvaar toot jaayegi
Yeh oonch-Neech ki deewar toot jaayegi
Tujhe kasam hai meri humsafar udaas na ho
Bahut sahi gham-e-duniya
Na jaane kab yeh tareeka yeh taur badlega
Sitam ka gham ka museebat ka daur badlega
Mujhe jaahan se utha lo, bahut udaas hoon main
Mujhe gale se laga lo...
-- Contributed by Sharad Sharma
-- Sept 17, 2003
|