Database
Search
Track Movie

Nafrat Se...Zamane Ki Aankhon Ne
Film Name:Ek Baar Muskuraado
Year:1972
Singer(s)Mohd Rafi    
Lyricist:S.H.Bihari 
Musician(s):O.P.Nayyar
Lyrics
Save Nafrat Se...Zamane Ki Aankhon NePrint Nafrat Se...Zamane Ki Aankhon NeNafarat Se Jinhe Tum Dekhte Ho,
Tum Maarthe Ho Jinko Thokar,
Kya Unpe Guzarthi Hai Dekho,
Ik Baar Kabhi Ghayal Hokar...

Zamane Ki Aankhon Ne Dekha Hai Yaaron,
Sada Apni Duniya Mein Aisa Nazara,
Kabhi Unko Phoolon Se Pooja Hai Sab Ne,
Kabhi Jinko Logon Ne Pattar Se Maara..

Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..

Pise Na Jahan Tak, Patthar Pe Mehendi,
Kisi Bhi Tarah Rang, Laathi Nahin Hai,
Hazaron Jagah Thokare Kha Ne Le Jab,
Koyi Zindagi Muskuraathi Nahin Hai,
Bina Khud Mare, Kisko Jannat Mili Hai,
Bina Dukh Sahe Kisne, Jeevan Savaara..

Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..

Bhavar Se Jo Ghabarake, Peeche Haten Hein,
Dubodi Hai Maujon Ne, Unki Hi Nayya,
Jo Toofan Se Takarake Aage Bade Hein,
Bina Koi Maaji, Bina Hi Khivaiya..
Kabhi Na Kabhi Tho, Kahin Na Kahin Par..
Hamesha Hi Unko, Mila Hai Kinara..

Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..

Yahan Aadmi Ko Sabak Dosti Ka,
Sikhate Huve Jo, Lahu Mein Nahaaya,
Masiha Bana Aur Gandhi Bana Voh,
Hazaron Dilon Mein, Yahan Ghar Banaya,
Unhi Ki Bani Hai, Yahan Yaadgaaren,
Unhi Ke Jahan Mein, Champka Sitaara..

Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..
Remarks - extra Information
Extra Information not available! Would you like to add it?
Search
Track Movie




Copyright © 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap