(nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta) (2)
(dil ki aag woh bhi dekhte mere pyaar ka jaadu
apne rang mein hum bhi kam na tha kar dete beqaabu) (2)
nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta
(gar woh theherte mere saamne dil pe teer chal jaate
woh haseen hai main jawaan hoon saare bhed khul jaate) (2)
nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta
(hum se kab talak mooh chhupenge woh apni shaan dikhlaake
ek roz to aa hi jaayenge mere paas sharmaake) (2)
(nazar bachaakar chale gaye woh varna ghaayal kar deta
dil se dil taqra jaata to dil mein agni bhar deta
varna ghaayal kar deta) (2)
-- Contributed by chitralekh
-- May 09, 2004 |