Film Name: Phir Wohi Dil Laya Hoon
Year: 1963
Singer(s): Mohd Rafi, Asha Bhonsle & Chorus
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Musician(s): O.P.Nayyar
Rafi:
door bahot mat jaaiye, le ke qaraar hamaara, aisa na ho koyi loot le, raah mein pyaar hamaara
Asha:
paas raho ya door tum, tum ho saath hamaare, denge gawaahi poochh lo yeh khamosh nazaare
Rafi:
(naazneen badaa hai rangeen hai wada tera o haseen hai kidhar ka iraada tera) (2)
aankh mudti hui zulf udati hui faasla kyon hai jyada tera
Asha:
ho ho ho ho humdum mere khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaanejahaan yaad karoge ek din mere pyaar ko
Asha:
(chhaaye ho mere dil pe nazar pe tunhi aaj to meri ulfat ka kar lo yakeen) (2)
aji hum se tumhe ek lagaavat to hai tumhe hum se mohabbat nahin
Rafi:
ho ho ho humdum mere khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaanejahaan yaad karoge ek din mere pyaar ko
Rafi:
(humsafar tu hi mera hai lekin sanam saath mein hai kisi ajnabi ke kadam) (2)
meri uljan yoon hi besabab to nahin dil ke betaabiyon ki kasam
Asha:
ho ho ho ho humdum mere khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaanejahaan yaad karoge ek din mere pyaar ko
Rafi:
humdum mere khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaanejahaan yaad karoge ek din mere pyaar ko
-- Contributed by Chitralekha
-- August 17, 2003
|