Asha: raat ke humsafar thak ke ghar ko chale
jhoomti aa rahi hai subah pyar ki
Rafi: dekhkar saamne roop ki roshni
phir luti ja rahi hai subah pyar ki
Asha: sone walon ko hans kar jagana bhi hai
raat ke jaagton ko sulana bhi hai
deti hai jaagne ki sada saath hi (2)
loriyan ga rahi hai subah pyar ki
Rafi: raat ke humsafar thak ke ghar ko chale
jhoomti aa rahi hai subah pyar ki
Asha: dekhkar saamne roop ki roshni
phir luti ja rahi hai subah pyar ki
Rafi: raat ne pyar ke jaam bhar kar diye
aankhon aankhon se jo maine tumne piye
hosh to ab talak jakar loute nahin (2)
aur kya la rahi hai subah pyar ki
Asha: raat ke humsafar thak ke ghar ko chale
jhoomti aa rahi hai subah pyar ki
Rafi: dekhkar saamne roop ki roshni
phir luti ja rahi hai subah pyar ki
Rafi: kya kya wade hue kisne khayi kasam
Asha: iss nayi raah par humne rakhe kadam
Asha,Rafi:
chhup saka pyar kab hum chhupayen to kya (2)
sab samajh pa rahi hai subah pyar ki
raat ke humsafar thak ke ghar ko chale
jhoomti aahaha aahaha pyar ki
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 03, 2003
|