(Lata: rangat teri soorat si kissi mein nahin nahin
Rafi: khushbu tere badan si kissi mein nahin nahin) (2)
Lata: rangat teri soorat si kissi mein nahin nahin
dekha tha jo bahaar ka sapna tu hi to hai
jiss ka tha intezaar woh apna tu hi to hai (2)
Rafi: har dum yeh sharaat si kissi mein nahin nahin
khushbu tere badan si kissi mein nahin nahin
Lata: rangat teri soorat si kissi mein nahin nahin
Rafi: yoon to haseen laakh hai duniya ki raah mein
aata nahin hai koyi bhi meri nigaah mein (2)
Lata: tujh mein hai jo agan si kissi mein nahin nahin
Rafi: khushbu tere badan si kissi mein nahin nahin
Lata: rangat teri soorat si kissi mein nahin nahin
tere haseen khayaal nigaahon pe chha gaye
duniya ko chhod kar tere pehloo mein aa gaye (2)
Rafi: humdum yeh mohabbat si kissi mein nahin nahin
(Rafi: khushbu tere badan si kissi mein nahin nahin
Lata: rangat teri soorat si kissi mein nahin nahin) (2)
-- Contributed by Chitralekha
-- Feb 26, 2004 |