Saathi haath badhaana saathi re
saathi haath badhaana saathi re
saathi haath badhaana saathi re....
Saathi haath badhaana
saathi haath badhaana
ek akela thak jaayega
mil kar bhoj uthaana
Saathi haath badhaana...
Hum mehnat waalonne jab bhi milkar kadam bhadhaaya
saagar ne rasta chhodha parbat ne sees jhukaaya
faulaadi hain seene apne faulaadi hain baahen
hum chahen to paida karde chattaanon mein raahen
aaaa saathi haath badhaana...
Mehnat apne lekh ki rekha mehnat se kya darna
kal bairon ki khatir ki ab apni khaati karna
apna sukh bhi ek hai saathi apna dukh bhi ek
apni manzil sach ki manzil apna rasta nek
aaa saathi haath badhaana...
Ek se ek mile to katra ban jaata hai dariya
ek se ek mile to zarra ban jaata hai sehra
ek se ek mile to raayi ban sakti hai parbat
ek se ek mile to insaan bas mein karle kismat
aaa Saathi haath badhaana....
-- Contributed by Sharad Sharma
-- Spet 17, 2003
|