teri mohabbat pe shaq nahin hai, teri wafaao ko maanta hoon
magar tujhe kisski aarzoo hai, main yeh haqeeqat bhi jaanta hoon
na aadmi ka koyi bharosa, na dosti ka koyi thikana
wafaa ka balda hai bewafai ajab zamana hai yeh zamana
na husn mein ab woh dilkashi hai na ishq mein ab woh zindagi hai
jidhar nigaahen utha kar dekho, sitam hai dhokha hai berukhi hai
badal gaye zindagi ke naghme, bikhar gaya pyaar ka tarana (2)
na aadmi ka koyi bharosa
davaa ke badle mein zahar de do, utaar do mere dil mein khanjar
lahu se seencha tha jiss chaman ko, uge hai sholey ussi ke andar
mere hi ghar ke chiraag ne khud, jalaa diya mera aashiyana (2)
na aadmi ka koyi bharosa, na dosti ka koyi thikana
wafaa ka balda hai bewafai ajab zamana hai yeh zamana
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 08, 2003
|