Rafi: (tumhaari nazar kyon khafaa ho gayi
khataa baksh do gar khataa ho gayi) (2)
Lata: (hamaara iraada to kuch bhi na tha
tumhaari khataa khud sazaa ho gayi) (2)
Rafi: (sazaa hi sahi aaj kuch to mila hai
sazaa mein bhi ek pyaar ka silsila hai) (2)
mohabbat ka ab kuch bhi anjaam ho
mulaaqaat ki ibtida ho gayi
tumhaari nazar kyon khafaa ho gayi
khataa baksh do gar khataa ho gayi
Lata: hamaara iraada to kuch bhi na tha
tumhaari khataa khud sazaa ho gayi
Lata: (mulaaqaat par itne magroor kyon hai
hamaari khushaamat pe majhboor kyon ho) (2)
manaane ki aadat kahaan pad gayi
sataane ki taaleem kya ho gayi
Rafi: tumhaari nazar kyon khafaa ho gayi
khataa baksh do gar khataa ho gayi
Lata: la la la la la la la la um um um
Rafi: (sataane na hum to manaate hi kaise
tumhe apne nazdeek laate hi kaise) (2)
issi din ka chaahat ki armaan tha
kubool aaj dil ki dua ho gayi
tumhaari nazar kyon khafaa ho gayi
khataa baksh do gar khataa ho gayi
Lata: (hamaara iraada to kuch bhi na tha
tumhaari khataa khud sazaa ho gayi) (2)
Both: la la la la la la la hm hm hm hm hm
-- Contributed by Chitralekha
-- Feb 26, 2004 |