Film Name: Parasmani
Year: 1963
Singer(s): Mohd. Rafi & Lata Mangeshkar
Lyricist: Asad Bhopali
Musician(s): Laxmikant Pyarelal
woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
gham-e-zindagi ke andhere mein humne
charaag-e-mohabbat jalaaye bujhaaye
woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
aahaten jaag uthi raaste hans diye
thaamkar dil uthe hum kissi ke liye
kayi baar aisa bhi dhokha hua hai
chale aa rahe hai woh nazaren jhukaaye
woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
dil sulagne lagaa ashq behne lage
jaane kya kya humey log kehne lage
magar rotey-rotey hansee aa gayi hai
khayaalon mein aakey woh jab muskuraaye
woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
woh juudaa kya hue zindagi kho gayi
shamma jalti rahi roshni kho gayi
bahut koshishey kee magar dil na behlaa
kayi saaz chhede kayi geet gaaye
woh jab yaad aaye bahut yaad aaye
-- Contributed by Chitralekha
-- August 4th, 2003 |