Rafi:
Yaad mein teri jaag jaag ke ham
Raat bhar karvatein badalte hain
Har ghadi dil mein teri ulfat ke
Dheeme dheeme charaag jalte hain
Lata:
Jabse tune nigaah pheri hai
Din hai suna to raat andheri hai
Chaand bhi ab nazar nahin aata
Ab sitaare bhi kam nikalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke ham
Raat bhar karvatein badalte hain
Rafi:
Lut gayi woh bahaar ki mehfil
Chhut gayi hamse pyaar ki manzil
Zindagi ki udaas raahon mein
Teri yaadon ke saath chalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke ham
Raat bhar karvatein badalte hain
Lata:
Tuhjko paakar hamein bahaar mili
Tujhse chhutkar magar yeh baat khuli
Baagbaan hi chaman ke phoolon ko
Apne pairon se khud masalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke ham
Raat bhar karvatein badalte hain
Rafi:
Kya kahein tujhse kyun hui doori
Ham samajhte hain apni majboori
Tujhko maaloom kya ke tere liye
Dil ke gham aansuon mein dhalte hai
Lata:
Yaad mein teri jaag jaag ke ham
Raat bhar karvatein badalte hain
Har ghadi dil mein teri ulfat ke
Dheeme dheeme charaag jalte hain
-- Contributed by raviraj
-- March 08, 2004 |