(yehi hai tamanna tere dar ke saamne meri jaan jaaye
meri jaan jaaye haaye) (2)
tere dar pe aaya to bas aa gaya main
na peechhe hatoonga zamane ke dar se
abhi aa raha hoon abhi kaise jaau
mila kya hai mujhko abhi tere dar se
zara dekh loon main yeh rukh ki bahaare
yeh kad pyaara pyaara yeh zulfon ke saaye haaye
yehi hai tamanna tere dar ke saamne meri jaan jaaye
meri jaan jaaye haaye
gila hai yehi mujhko tere khuda se
haseen jiss ne itna banaya hai tujhko
na aata kabhi teri galiyon mein zaalim
tere husn ne khud bulaya hai mujhko
jalaa kar koyi shamma kaise kahega
ke dekho yahaan par na parwana aaye haaye
yehi hai tamanna tere dar ke saamne meri jaan jaaye
meri jaan jaaye haaye
mohabbat mein teri agar maut aaye
to woh maut kitni haseen maut hogi
kissi roz main tera daaman pakad kar
jo mar jaau kya dil naseen maut hogi
agar koyi aisi ghadi aa rahi hai
to meri dua hai woh jaldi se aaye haaye
yehi hai tamanna tere dar ke saamne meri jaan jaaye
meri jaan jaaye haaye
-- Contributed by Chitralekha
-- Dec 21, 2003 |