Film Name: Barsaat Ki Raat
Year: 1960
Singer(s): Mohd Rafi, Lata Mangeshkar
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Musician(s): Roshan
zindagi bhar nahin bulegi woh barsaat ki raat
ek anjaan haseena se mulakaat ki raat
zindagi bhar nahin bhulegi
haye woh reshmi zulfon se barasta pani (2)
phool se gaalo pe rukne ko tarasta pani
dil mein toofan uthate huve
dil mein toofan uthate huve jazbaat ki raat
zindagi bhar nahin bhulegi
dar ke bijli se achanak woh lipatna uska
aur phir sharm se balkhake simatna uska
kabhi dekhi na suni aisi
kabhi dekhi na suni aisi tilismat ki raat
zindagi bhar nahin bhulegi
surkh aanchal ko daba kar jo nichoda usne (2)
dil pe jalta huva ek teer sa chhoda usne
aag pani me lagate huve
aag pani me lagate huve halaat ki raat
zindagi bhar nahin bhulegi
mere nagmo me jo basti hai woh tasveer thi woh
naujavaani ke haseen khwaab ki taabeer thi woh
aasmano se utar aayi ho
aasmano se utar aayi thi jo raat ki raat
zindagi bhar nahin bhulegi woh barsaat ki raat
zindagi bhar nahin bhulegi
-- Contributed by Chitralekha
-- August 3rd, 2003 |