Film Name: Phir Wohi Dil Laya Hoon
Year: 1963
Singer(s): Mohd Rafi, Asha Bhosle
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Musician(s): O.P.Nayyar
Asha:
ab ke dil waale to bhavre hai bhatakne wale
woh hum hi the ke mohabbat ko nibhaya hum ne
woh jo kehte hai ke lo phir wohi dil laaya hoon
woh bhi sun le ke unhe pyaar sikhaya hum ne
Rafi:
hum bhi lab khol rahe hai yeh tamasha dekho
jinke hothon pe lahu laya hum ne
meri aankhon mein zara daal ke aankhen to kaho
pyaar sikha ke tumhe pyaar sikhaya hum ne
Asha:
zulf ki chaav mein chehre ka ujaala lekar
teri veeran si raaton ko sajhaya hum ne
Rafi:
meri raato mein jalaaye tere jalwo ne chiraag
teri raato ke liye dil ko jalaya hum ne
Rafi:
yeh tere garm se lab yeh tere jalte rukhsaar (2)
dekh hum ko ke banaya hai inhi dil ka qaraar
kaise angaaro ko seene se lagaya hum ne
teri raato ke liye dil ko jalaya hum ne
Asha:
hum ne har dil ko sikhaya hai dhadakne ka chalan (2)
de ke ulfat ki tadap de ke mohabbat ki jalan
tujhse deewane ko insaan banaya hum ne
teri veeran si raaton ko sajhaya hum ne
Rafi:
seek le rasm-e-wafa husn bhi deewano se (2)
daastaan apni bari hai inhi afsaano se
rakh diya sar ko jahaan phir na uthaya hum ne
teri raato ke liye dil ko jalaya hum ne
Asha:
zulf ki chaav mein chehre ka ujaala lekar
teri veeran si raaton ko sajhaya hum ne
Rafi:
meri raato mein jalaaye tere jalwo ne chiraag
teri raato ke liye dil ko jalaya hum ne (2)
-- Contributed by Chitralekha
-- August 17, 2003
|