(chaudhvin ka chaand ho ya aaftaab ho
jo bhi ho khuda ki kasam laajavaab ho) (2)
chaudhvin ka chaand ho
zulfen hai jaise kaandho pe baadal jhuke hue
aankhen hai jaise may ke pyaale bhare hue
masti hai jiss mein pyaar ki tum woh sharaab ho
chaudhvin ka chaand ho
chehra hai jaise jheel mein hansta hua kaval
ya zindagi ke saaz pe chhedi hui ghazal
jaan-e-bahaar tum kissi shayar ka khwaab ho
chaudhvin ka chaand ho
hothon pe khelti hai tabassum ki bijaliyaan
sajde tumhaari raah mein karti hai kaikashaa
duniya-e-husn-o-ishq ka tum hi shabaab ho
chaudhvin ka chaand ho ya aaftaab ho
-- Contributed by Chitralekha
-- Sept 14, 2003
|