Rafi: dilbar dilbar kehte kehte hua deewaana
aankh mein meri jhaakh ke dekho jaanejaana
kaun tumhaara apna hai aur kaun begaana
oh meri jaan zara pehchaan (2)
Lata: dilbar dilbar sunte sunte hui deewaani
haaye re kiss manzil pe aa ke ruki kahaani
bol mere dil kisse hai ab preet nibhaani
phansi hai jaan (4)
Rafi: ab husn ishq ka sangam ho jaane de
aagosh mein apni jaanam kho jaane de
yeh mel hai dil se dil ka koyi khel nahin
do dil na agar mil jaaye woh mel nahin
Lata: ho mar gayi mar gayi ab kya karoon main
haaye re mohabbat jee ya maroon main
usse miloon ya isse miloon main ho
phansi hai jaan (4)
Rafi: yeh zulf teri aawara haay kya kehna
mujhe loot liya dildara haay kya kehna
jo pyaar kare yeh uss ka andaaz nahin
parvaane ke jalne mein aawaaz nahin
Lata: ho kaisi mushkil aan padi hai
do raahe pe preet khadi hai
iss zaalim se aakh ladi hai ho
phansi hai jaan (4)
Rafi: teri aankhen hai ya zaalim paimaane hai
teri ek baat mein laakhon afsaane hai
tu dekh gaur se mujhko tera apna hoon
har raat ko tu jo dekhe woh sapna hoon
Lata: ho ek hai dil aur do deewane
ek shamma aur do parvaane
kya hoga yeh koi na jaane ho
phansi hai jaan (4)
Rafi: dilbar dilbar kehte kehte hua deewaana
arre aankh mein meri jhaakh ke dekho jaanejaana
kaun tumhaara apna hai aur kaun begaana
oh meri jaan zara pehchaan (2)
Lata: phansi hai jaan (2)
Rafi: oh meri jaan zara pehchaan (2)
Lata: phansi hai jaan (2)
-- Contributed by Chitralekha
-- Feb 26, 2004 |