 Sansar tumhara yahan wahan, avatar tumhara kahin kahin.
Prabhu tere charan padey jahan jahan, hai teerth hamara
wahan wahan;
Jag mein sabsey nyaari Kashi,
Hai Vishwanath jiske baasi;
Jiske sar sey nikali Ganga,
Abtak uske dhho charan rahi, Prabhu tere....
Sadiyon sey amar Ujjain yahan,
Hai Mahakaal ko chyan jahan,
Is Kaal ka bali bhi hai Swami,
Uss Mahakaal ka dhaam yahin, Prabhu tere....
Teerthon ka raja Rameshwar,
Shankar ko jahan poojay Raghuwar,
Bhagwan bhakta, Bhagwan dev,
Dharti par aisa kahin nahi, Prabhu tere....
Yeh Kalahasti nirmal nagaree..eeee eeee eeee;oh oh oh oh
Harihar sey bhari harree,
Nit jahan Shambhu ki gaathaayen,
Bhakton ney sunee,kaviyon ney kahi, Prabhu tere....
|