Database
Search
Track Movie

Zara Sun Haseena-e-naazneen
Film Name:Kaun Apna Kaun Paraya
Year:1963
Singer(s)Mohd Rafi    
Lyricist:Shakeel Badayuni 
Musician(s):Ravi
Lyrics
Save Zara Sun Haseena-e-naazneenPrint Zara Sun Haseena-e-naazneenZara Sun Haseena-e-naznee, Mera Dil Tujhi Pe Nisaar Hai (2)
Tere Dam Se Hi Mere Dilruba, Meri Zindagi Mein Bahaar Hai,
Zara Sun Haseena-e-naznee..

Huyi Jab Se Mujhpe Teri Nazar, Mein Hun Apne Aap Se Bekhabar (2),
Huva Jab Se Dil Mein Tera Guzar (2),
Mujeh Chain Hai Na Karaar Hai,
Zara Sun Haseena-e-naznee..

Tere Husn Se Jo Sanwaar Gayin, Voh Fazayen Mujhko Azeez Hein (2),
Teri Zulf Se Jo Lipat Gayin, Mujeh Un Hawavon Se Pyaar Hai,
Zara Sun Haseena-e-naznee..

Yeh Haseen Phoolon Ki Daaliyan, Tujeh De Rahi Hai Salaamiyan (2),
Mujeh Kyon Na Rashk Ho Ay Sanam, (2)
Tere Saath Fasal-e-bahaar Hai,
Zara Sun Haseena-e-naznee..
Remarks - extra Information
To add extra information, you will need to login first.
Search
Track Movie
Copyright 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap