chale aaj tum jahan se
huyi zindagi parayi
tumhe mil gaya thikana
hamein maut bhi na aayi
(o door ke musafir
hamko bhi saath le le re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele)(2)
tu ne to de diya gham
bemaut mar gaye hum
dil uth gaya jahan se
le chal hamein yahan se(2)
kis kam ki yeh duniya
jo zindagi se khele re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele
sooni hai dil ki raahein
khamosh hai nigahen
nakam hasraton ka
uthne ko hai janaza(2)
charo taraf lage hai
barbadiyon ke mele re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele
o door ke musafir
hamko bhi saath le le re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele
-- Contributed by jskforyou
-- March 25, 2004 |