Lyricist Yogesh paying tributes to Rafi Sahab
This poetry is by Yogesh (Source: Mr. Sajjad on HF)
Geetoon ka masiha chala gaya…..
jin geeton ko jin ghazaloon ko, tum hothon se chhu lete the
apne swar ke tum paras se, unko kanchan kar dete the
par tum tak jo na pahunch paaye, woh geet kitne abhaage hain
ab un geeton ka kya hoga, jo isi aas mein jaage hain
ek baar hamein dekho pad lo, ek baar hamein gaa do aa kar
kya bhool hui jo chale gaye, humko yun pyaasa tarsa kar
sargam kahti hai tham jaao, ab to parwaaz nahi hogi
aawaaz bahut si aayengi, par yeh aawaaz nahi hogi
tum jitne mithe the, utna hi mitha gaate the
taarif koi jab karta tha, Allah ki daya batate the
jab tak dharti par jeevan hai, suraj chaand sitare hain
sangeet geet ki mahfil hai, gaane wale banjaare hain
tumko kaise hum bhoolenge, har pal yaaden tadpayengi
aahoon mein dil yeh doobega, aankhein aansoon chhalkayengi
abhi july 10 ke din, tumne jo geet mera gaaya
us waqt kahan un shabdoon ka, yeh arth samajh mein tha aaya
hosh ke sahil pe mujhko, ab na aane dijiye
aaj to bas mastiyoon mein, doob jaane dijiye
tumne jo gaaya sahi kiya, tumko to hosh nahin aaya
par hum kaise sah paayenge, jo dukh tumko khokar paaya
Bhagwaan niyati yeh kaisi hai, aakhir yeh kya mazboori hai
itna asahaaye banana kya, insaan ko yahan jaroori hai
teri marzi ka patjhad yeh, phir se ek gulshan jala gaya
teri marzi se phir jag mein, insaan bechara chhala gaya
geetoon ka masiha chala gaya….
Rafi saab ki yaad aksar athi hai. He is immortal and great human being and the star of the centureis to come.
yogesh,
you are a genius ,iwant to know more about you your work and about your life history. you have not got the credit due to you ,after salil chowdhrys death you have become invisble.IS INDUSTRY NE AAPKE SAATH BAHUT NA INSAFI KARI HAIN, YEH PAATHAR KE SAUDAGAR HAIN INHEN HIRA PARAKHNA NA AAYA.
AJAY
Great article. I am just sad I dont know how to reply properly, though, since I want to show my appreciation like many other.